Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, January 9, 2018

Zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai

Zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai,
Ek qaid parinde' ki tarah pharphara rahi hai.

Jee chahta hai,
Urr (fly) kar chand taaron ko choo lein,
Aur iss saare' jahaan ko peeche' chchor dein.

Magar yeh paair (legs),
Magar yeh paair (legs) ek perh (tree) ki tarah zameen pe hi arhe' (fixed) hain.

Baar baar tarasti hui nazron se' aasmaan ko dekhta rehta hoon mein,
Baar baar use' awaazein deta rehta hoon mein,
Ek chumbak ki tarah mujhe' apni taraf kheench lo,
Iss tarah yahaan rehte' rehte' ab oob gaya,
Mujhe apni taraf kheench lo.

Aasman se' koi jawab nahi milta hai,
Ek sharati bachche' ki tarah mujhe' lalkarta hai.

"Himmat hai, toh mujhe' aakar choo lo,
Varna mujhse' haar maan jao."

Aur mein sirf tarsti hui nazron se' aasmaan ko dekhta rehta hoon.

Sach, yeh zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai,
Ek qaid parinde' ki tarah pharphara rahi hai.   

No comments:

Post a Comment