Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, March 25, 2018

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai,
Kuch toh khush hain,
Toh kisi kisi ko mayoosi mil rahi hai.

Jo aaj khush hain,
Woh kal zaroor mayoos the',
Aur aaj jo mayoos hain,
Kya pata kal woh kitne' khush the'?

Jahaan halaat ne' har kisi ki zindagi ko apna ghulam banaya hai,
Wahaan woh khud hi waqt ki ghulami kar raha hai.

Kehte' hain apni din aur raat ki mushakkat se' halaat badal jaate' hain,
Magar iss ghulam ko waqt ki manzoori bhi toh zaroori hai.

Waqt bhi kya kya karishme' dikhaata hai,
Fakiron ko ek a ek nawabi andaaz dila kar,
Kuch nawaabon ko fakir bhi banaa deta hai.

Waqt se' ab kashmakash kaun kare'?
Aage' apni zindagi mein kya hoga,
Iski fikar ab kaun kare'?

Waqt ke' karishmon ko salaam karte' hue',
Hum apne' halaat ko badalne ki aarzoo lekar,
Dooob gaye' hain din raat sirf mushakkat karte hue'.

Monday, March 19, 2018

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon,
Kuch ajeeb o gareeb se' khyalon ko jagaa deta hoon.

Woh haadse' kyon hue'?
Kya kasoor tha mera?

Aise' swaalon se' kashmakash karta hoon.

Suna tha humne' bhi,
Ke' taqdeer ke' aage' insaan majboor hai,
Kabool toh karna hi padta hai naa chahte' hue' bhi.

Magar woh haadse' meri hi taqdeer mein kyon the'?
Iss sawaal ka jawaab dhoondne' ki koshish karta hoon.

Buzurgon ka kehna hai,
"Zindagi toh chalte' rehne' naam hai,
Iraade' buland ho toh taqdeer bhi salaam karti hai".

Apne' iraadon ko buland kar,
Main uss salaami ka ab besabri se' intezaar kar raha hoon.

Soch rahe' honge' aap sab,
Kya iss waqt main mayoos hoon?

Magar jab iraadon ko itna buland kar diya toh phir mayoosi kaisi?
Haan iss taqdeer ke' karishmon se' hairaan zaroor hoon.

Wednesday, March 14, 2018

Tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi

This composition was inspired on the basis of some revelations by a dear friend:

Tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi,
Magar kisi aur ko kareeb laane' ki ab chaahat bhi nahi.

Nazron se' dooor hokar bhi mere' dil ke' ab tak kareeb ho,
Tumhe' apne' dil ke' kareeb rakhne' ka ab koi iraada toh nahi,
Magar kisi aur ko apni nazron ke' kareeb laane' ka iraada bhi nahi.

Naa jaane' yeh kaisa junoon hai?
Naa jaane' yeh kaisi kashmakash hai?

Chah ke' bhi tumse' ab nafrat nahi kar sakta,
Bhool ke bhi tumhe' ab bhoola nahi sakta.

Mere' dil-o-dimag mein ab tak tumhara hi zikr hai,
Yeh mujhe' ab kya ho gaya hai, iski fikr hai.

Mohabbat karke' ab tumse' shikva kaisa?
Din raat yaad karke' ab tumhe' bhulana kaisa?

Tum jo bhi ho meri hi ho,
Aur mere' siva kisi ki nahi ho.

Tumne' mujhse' bewafai ki toh kya,
Main tumhare' aur kareeb aa gaya.

Tumhara jism mujhse' dooor hai toh kya,
Tumhari woh yaadein ab tak mere' kareeb hain.  

Sach, tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi,
Magar kisi aur ko kareeb laane' ki ab chaahat bhi nahi.

Tuesday, March 13, 2018

The weather was inviting

The weather was inviting,
It was Saturday evening,
And I wondered,
What should we be doing?

Suddenly, I recollected,
Someone had invited,
Us and others,
At their swanky apartment just renovated.

The visit was short but sweet,
I think I should tweet,
And let my twitter friends know,
What it was to be with them,
Who are a treasure indeed!  

Friday, March 9, 2018

Kuch din guzarte' hain bebasi mein,

Kuch din guzarte' hain bebasi mein,
Kuch raatein beet jaate' hain mayoosi mein.

Sochta hoon ke' naa jaane' kahaan jaa rahe' hain hum sab?
Lagta hai jaise' iss zindagi ki pareshaniyon se' har koi gaya hai dab.

Suna tha humne' bhi ke' kaanton pe' chal ke' milte' hain saaye' bahaar ke',
Magar ab toh saj gaye' hain mere zakhmi kadmon ke' nishaan,
Zindagi ke' raahon par kuch bahaar jaise'.

Kamaal hai, ab tak inn zakhmi kadmon ki raftaar thami nahi,
Woh dinon ki bebasi aur raaton ki mayoosi humare' hoslon se' badhkar toh nahi.

Magar sochta hoon, kab tak yeh din guzareinge' bebasi mein?
Aur kabtak yeh raatein beeteinge' mayoosi mein?   

Jo bhi ho, kuch baat toh hai humare' buland hoslon mein,
Nishan banaate' banaate' chalte' rehte' hain yeh zakhmi kadam,
Iss saare' jahaan ko hairan karne' ke' junoon mein.

Thursday, March 8, 2018

Zindagi ki inn anjaan raahon par

Zindagi ki inn anjaan raahon par,
Ab naa jaane' kahaan kahaan miloge'.

Hum samajhte' hain ke' yeh ab judaai hai,
Magar kya pata,
Yeh shayad kisi aur raah par milene' ki tayyari hai.

Aana jaana toh laga rehta hai,
Hum sab ke' liye',
Yahi iss zindagi ka usool hai,
Hum sab ke' liye'. 

Iss usool ko ab samajhkar,
Chalna padega humein,
Zindagi ki inn anjaan raahon par.

Monday, March 5, 2018

Bura naa maano aaj HOLI HAI !!!

Composed the following on the occasion of Holi few days back:

Suraj ki kiranon ne' aaj iss jahaan ko ek naya rang diya hai,
Hawa ke' jhonkon ne' bhi kuch naya mahaul banaya hai.

Pichkariyon ki woh barsaat ki mujhe ab besabri se' intezaar hai,
Kya karein, bhang aur gulal ka jo saath hai.

Magar aaj kuch cherr charr bhi toh zaroori hai,
Kyonke' bura naa maano aaj HOLI HAI
😁😛💢🏵️🌹

Thursday, March 1, 2018

Iss zindagi ki kya baat karoon main

Iss zindagi ki kya baat karoon main,
Yeh kuch ajeeb bhi hai, kuch nahi bhi.

Kai haadse' hue' iss zindagi mein,
Unn haadson ki kya baat karoon main?
Woh kuch haseen bhi the' kuch nahi bhi.

Naa jaane' itni khushiyan kyon mili mujhe'?
Inn khushiyon ki kya baat karoon main?
Inn khushiyon mein kuch ghum bhi tha kuch nahi bhi.

Kai manzilon ki talaash mein bhatakta raha,
Uss bhatakne' ki kya baat karoon main?
Kuch manzilein mili bhi kuch nahi bhi.

Ab ek khwaeish ki chah mein jee raha hoon mein,
Iss khwaeish ki bhi kya baat karoon main?
Yeh kuch mumkin bhi hai kuch nahi bhi.

Sach, iss zindagi ki kya baat karoon main,
Yeh kuch ajeeb bhi hai, kuch nahi bhi.