Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, March 25, 2018

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai,
Kuch toh khush hain,
Toh kisi kisi ko mayoosi mil rahi hai.

Jo aaj khush hain,
Woh kal zaroor mayoos the',
Aur aaj jo mayoos hain,
Kya pata kal woh kitne' khush the'?

Jahaan halaat ne' har kisi ki zindagi ko apna ghulam banaya hai,
Wahaan woh khud hi waqt ki ghulami kar raha hai.

Kehte' hain apni din aur raat ki mushakkat se' halaat badal jaate' hain,
Magar iss ghulam ko waqt ki manzoori bhi toh zaroori hai.

Waqt bhi kya kya karishme' dikhaata hai,
Fakiron ko ek a ek nawabi andaaz dila kar,
Kuch nawaabon ko fakir bhi banaa deta hai.

Waqt se' ab kashmakash kaun kare'?
Aage' apni zindagi mein kya hoga,
Iski fikar ab kaun kare'?

Waqt ke' karishmon ko salaam karte' hue',
Hum apne' halaat ko badalne ki aarzoo lekar,
Dooob gaye' hain din raat sirf mushakkat karte hue'.

No comments:

Post a Comment