Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, March 19, 2018

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon,
Kuch ajeeb o gareeb se' khyalon ko jagaa deta hoon.

Woh haadse' kyon hue'?
Kya kasoor tha mera?

Aise' swaalon se' kashmakash karta hoon.

Suna tha humne' bhi,
Ke' taqdeer ke' aage' insaan majboor hai,
Kabool toh karna hi padta hai naa chahte' hue' bhi.

Magar woh haadse' meri hi taqdeer mein kyon the'?
Iss sawaal ka jawaab dhoondne' ki koshish karta hoon.

Buzurgon ka kehna hai,
"Zindagi toh chalte' rehne' naam hai,
Iraade' buland ho toh taqdeer bhi salaam karti hai".

Apne' iraadon ko buland kar,
Main uss salaami ka ab besabri se' intezaar kar raha hoon.

Soch rahe' honge' aap sab,
Kya iss waqt main mayoos hoon?

Magar jab iraadon ko itna buland kar diya toh phir mayoosi kaisi?
Haan iss taqdeer ke' karishmon se' hairaan zaroor hoon.

No comments:

Post a Comment