Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, September 3, 2019

Kitni jaldi waqt guzar jaata hai

Kitni jaldi waqt guzar jaata hai,
Apno ko bhi apne' se' kitni dooor kar deta hai.

Pal pal ka hisaab rakhna padta hai,
Nazar phirte' hi naa jaane' ek pal kahan chala jaata hai.

Aaj humne' kisi aziz ko alvida keh diya hai,
Milte' rehne' ki kasam bhi dila diya hai.

Magar zindagi ki raahon ko aaj tak kisne' pehchaana hai,
Seedhe' chalte' hue' bhi ek a ek raah badalna padta hai.

Aaj uss aziz se' khud ka khayal rakhne' ka waada toh liya hai,
Magar  kisne' unka haal poochte' rehne' ka waada kiya hai?

Zindagi ki yahi ajeeb dastaan hai,
Azizon se' bhi kai baar sabko dooor hona padta hai.



No comments:

Post a Comment