Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, September 16, 2019

Soch raha hoon ab aage' kya hoga?

Soch raha hoon ab aage' kya hoga?
Ab tak jo bhi hua woh kuch meetha bhi tha aur kuch khatta bhi.

Umeedein naa jaane' kitni lagai thi apni taqdeer se',
Kuch umeedein poori bhi hui kuch nahi bhi.

Shikve' zaroor hain apni taqdeer se',
Magar shukraguzaar hoon bahut kuch paakar bhi.

Suna tha humne' kabhi waqt ke' aage' kisi ki nahi chalti,
Phir bhi humne' takkar lene ki jurrat ki thi waqt se' bhi.
    
Waqt ko toh fateh naa kar saka,
Magar khud mein ek naya insaan paya uss jurrat se' bhi.

Ab aage' kya hoga kya pata,
Aur kya khabar har pal waqt ka saath hoga ya nahi.

Iss naye' josh se' ab zindagi ka saath nibhana hi hai,
Mushkil se' mushkil halaat mein bhi.   

No comments:

Post a Comment