Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, June 19, 2021

Bahut ho chuka ab ......


Bahut ho chuka ab fikar aur chinta ka yeh daur,

Aaj inn sab se' dooor hokar kuch aur hi sama banaa raha hoon.

Dil aur dimag par kya kya sitam naa hue',
Yeh toh koi raaz nahi hai,
Aap sab ki tarah main bhi isi haal se' guzara hoon.

Ab toh woh kal jo hum sab ka intezaar kar raha hai,
Woh manzilein jo hum sab ko besabri se' pukar rahi hain,
Unke' ishaaron ko ab samajh raha hoon.

Yeh toh koi aisa daur tha jo hum sab ke' muqaddar mein naa jaane' kab likha tha,
Aana hi tha toh aa hi gaya,
Ab uss naye' daur ko apne' buland hoslon se' aane' ka intezaar kar raha hoon.

Woh humara kal jo aane' hi wala hai,
Woh daur jab hum sab koi ajooba kar dikhayeinge',
Aise' josh mein main aaj ka ek ek pal guzaar raha hoon.

Kya aap sab bhi aise' jazbaat mein aaj doobe' hue' hain?
Iska jawab main dil hi dil mein jaanta hoon👍👍✌️✌️😊😊

No comments:

Post a Comment