Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, August 28, 2024

Barsaat ne toh saara mahaul jaise beimaan kar diya....

Barsaat ne toh saara mahaul jaise beimaan kar diya,

Jaam ke pyale ki waise koi zaroorat toh nahi
Magar phir bhi aaj mood yoonhi kar aaya.

Uss pyale ne toh mujhme kai bhoole hue armaanon ko taaza kar diya,
Bahut koshishon ke baad bhi main khud par kaboo na paa saka,
Shayad aaj woh mood yoonhi kar aaya.

Barsaat aur jaam ke beech toh barson purana yaarana hai,
Ek ke peeche doosre ki naubat aa hi jaata hai,
Yeh mera vehem hai ya phir aaj mera aisa mood yoonhi kar aaya?

Kyon nahi main bhi apni umar ko bhool kar kuch mauj mastiyon mein kho jaaon?
Iss soch mein kuch dum bhi hai ya phir aaj mera mood yoonhi kar aaya?

Maaro goli aise waise junoon ko,
Kya ho jaiga inn sochon mein doob kar?
Haqiqat toh Yeh hai ke aaj mera aisa mood yoonhi kar aaya. 👍🏼👍🏼😄😄

No comments:

Post a Comment