Kisi mallika e husn se' deedar e yaar ki aarzoo kar baitha,
Umar toh kuch zyada ho gayi phir bhi aisi nadaani kar baitha.
Zindagi ki kai musibaton se' jung karte' karte',
Naa jaane' kaise' kabhi umeed kho baitha.
Ek a ek kahin se' phir umeedon ka silsila shuru ho gaya,.
Aur main Zindagi se' phir dil lagaa baitha.
Mayoosi toh jaise' koi imtihan hai,
Jisme' kamyaabi paakar chalte' chale' jaana hi hai,
Yahi paighaam main sabko de' baitha.
Aur ab uss deedar e yaar ki justajoo lekar,
Main khud mein jeene" ka naya andaz dekh baitha. 







No comments:
Post a Comment