Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, April 16, 2025

Samundar ki toofani lehron par jaise’..

 

Samundar ki toofani lehron par jaise’,

Meri’ zindagi ki kashti kisi tarah sambhal rahi hai.

 

Jee ghabrane’ laghta hai,

Lagta hai jaise’ ke’ kisi bhi waqt yeh doobne’ hi waali hai.

 

Magar buland honsle’ naa jaane’ kab jaag jaate’ hain,

Aur uske’ zariye’ meri zindagi ki yeh kashti toofanon ke' beech chalti hi rehti hai.

 

Samundar ki lehrein ho ya iss zindagi ka safar,

Toofanon ka silsila toh hamesha chalta hi rehta hai.

 

Kabhi toh insaan itna mayoos ho jaata hai,

Aur aise’ toofanon se’ shikast (defeat) kabool kar jaata hai.

 

Magar zinda dili toh jeene’ ka koi shandaar tariqa hai,

Jahan har halaat mein woh joshila andaz sabhi ko rakhna padta’ hai.

 

Musibaton se’ haar jaana toh buzdilon ki aadat hai,

Magar himmat-e-andaz kayyam karna toh jaanbazon ki hi fitrat hai.


Sabak lein hum sab uss samundari toofanon mein ghiri hui kisi kashti se’,

Jo kamaal ki zurat (boldness) dikha kar hi rehti hai.  

 

Joojhti hi rehti hai jo uss haalat ko bas fatah karne’ ke' junoon mein,

Aur sikha jaati hai hum sabko, jeene’ ka jo doosra naam hai. 

 

No comments:

Post a Comment