Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Friday, May 5, 2017

Hum jashn-e-azaadi manate' hain

Composed this on the eve of our Independence day some years back:

Hum jashn-e-azaadi manate' hain,
Apna tiranga lahra kar.

Unn tamam shaheedon ko yaad karte' hain,
Unki kurbaniyon ko yaad kar.  

Yeh silsila jaari hai kai dashakon se',
Aur aaj phir yeh silsila doharaya gaya hai,
Apne' khayal, jazbaat, aur shayad kuch ashkon se'.

Kal hum phir apni apni zindagi mein laut jayeinge',
Azadi ke' iss jashn ko phir bhool jayeinge'.

Akhir yeh silsila toh jaari hai kai dashakon se',
Kya karna hai ise' ab roz doharane' se' ?

Yeh silsila toh ab ek aam baat hai,
Akhir apni apni zindagi bhi toh hai,
Isme' phir kya aisi baat hai? 

Magar zara thahariye',
Aur unn tamam shaheedon ki kurbaniyon ko samajhiye'.

Kya unke' Maata aur Pita ne' unhe' pyar se' paala nahi tha?
Kya unki zindagi mein koi aur aarzoo nahi tha?

Kya unki iss kurbani se' ,
Unke' parivaar waalon ko umar bhar ka ghum nahi tha?   

Kyon naa hum ab iss jashn-e' azaadi ko ek naya andaz dein?
Apne' rozana zindagi mein,
Apne' watan ko ek khubsoorat gulistan ki tarah mehka dein.

Jahan sab mazhab ke' log,
Tarah tarah ke' rang birange' gulon ke' jaise' khilien.

No comments:

Post a Comment