Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, May 8, 2017

Jidhar chal pada main kisi ki khoj mein

Jidhar chal pada main kisi ki khoj mein,
Mile' kai magar reh gaya kisi soch mein.

Woh kahaan hai jise' dhoondta hoon?
Chala hoon main aur apni nazar se' kehta hoon,
Dikha de' kahin jise' main chahta hoon.

Shikayat nahin koi apni iss nazar se',
Khayalon mein koi aur hai  magar nazar mein koi aur,
Uljhan mein hai yeh alam iss bigde'  hue' taal mail se'.

Jidhar chal pada mein apni khushi ki khoj mein,
Achanak shaamil ho gaya kisi ke' ghum mein.

Use' kuch sukoon dekar mehsoos hui mujhe' aisi khushi,
Ke' bhool gaya iss jahaan ke' saare ghum, tanhai, aur bebasi.

No comments:

Post a Comment