Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, December 26, 2021

The year 2021 is on its last legs....

The year 2021 is on its last legs,

There is much to be forgotten.

Horrors of the pandemic are still fresh in our minds,
Will take time to be forgotten.

With height of optimism for the year 2022 rivaling even the Himalayas,
We will make such troubled times do an about turn.

Burdens of the year going by are loaded in our hearts and minds,
But then, isn't life all about marching ahead with any burden?

Let no one doubt the amazing powers of our nerves of steel,
We will keep marching ahead with full determination.

For a new chapter is being authored by each one of us,
Of our all-round efforts to effect a historical about turn.

LET'S WELCOME 2022 WITH SUCH A DETERMINATION👍✊💪😄

Sunday, December 19, 2021

Neend mein yoon muskurana tera

Neend mein yoon muskurana tera,

Yeh koi khwab hai ya dil lagaane' ka bahaana tera.

Yeh nazara dekh kar toh kya haal hai mera?
Soch mein dooba hoon meri taraf kya ishara hai tera?

Jaagte' hue' toh koi paigham naa aaya tera,
Iss waqt tumhari zulfon ne aur behaal kar diya mera.

Kaash, yeh nazaara yoon hi chalta rahe',
Magar jaanta hoon yeh koi diwaanapan hai mera.😄😜

Sunday, December 12, 2021

A chopper crashes all of a sudden....

A chopper crashes all of a sudden,

Like wild fire the news spreads.

Entire Nation is shocked beyond words,
Hoping against hope for some miracles.

Worst fears come true,
Our beloved General has bid adieu to all of us.

His soul-mate with all brave-hearts on board except one,
Have accompanied him in their respective eternal journeys.

Our hearts skip many a beats,
Shivers keep coming down our spines.

How could fate be so cruel to our Nation?
This question still begs answers.

Their final journeys unite all fellow citizens,
United in mourning and sinking all differences.

Their souls must be overwhelmed,
Seeing such mass adulations and emotions.

Destiny's will has prevailed,
And will prevail for all times.

But can't we alter such wills of Destiny?
Let's begin our search for some answers.😞

Sunday, December 5, 2021

Gustakhi yoon hi ho gayi humse...

Gustakhi yoon hi ho gayi humse',

Khud par kaboo naa rakh sakaa.


Unki adaa par hum kuch aise' fidaa ho gaye'

Naa chahte' hue' bhi apne' armaanon ko fateh naa kar sakaa.


Magar apni iss gustakhi par unki naraazgi dekhi hi nahi,

Iska raaz aaj tak samajh naa sakaa.


Kya pataa? unki nazron mein bhi kuch aise' hi ishaare' the'

Nadaani toh meri itni thi ke' unn ishaaron ko dekh naa sakaa.

 and 7 others

Sunday, November 28, 2021

Kamaal hai kamaal hai

 Kamaal hai kamaal hai,

Josh bhi kuch bemisaal hai.

Haath mein mere' aaj woh jaam hai,
Jo ab mujhe' kamaal ke' mizaaz mein laa raha hai.

Kamaal hai zaroor kamaal hai,
Magar yeh kiska kamaal hai?

Mausam toh kuch khush gawaar hai,
Jaam toh khud mein hi ek misaal hai.

Phir meri mizaaz par ab kiska raaj hai?
Kya kahoon? Fikar bhi toh mere' kuch aise hi hai.

Abhi toh uss fikar ko marro goli,
Mera mizaaz iss waqt kisi masti ka ghulam hai.

Kal kya hoga yeh kisko pata hai?
Abhi toh iss waqt saara mahaul jaise' ho hi gaya,
Kamaal hai kamaal hai."👍✌😄😄

Sunday, November 14, 2021

Mahaul hai aaj kuch mehka mehka saa

Mahaul hai aaj kuch mehka mehka saa,

Kisi ki shoharat par hum naaz kar rahe' hain,

Toh kisi ki salgirah ki khushiyan manaa rahe' hain.


Kabhi kabhi toh aise' mauke' milte' hain,

Hum unn maukon ko bahut khoob apni apni zindagi mein shaamil karte' hain.


Jisko shoharat haasil hui woh hum mein se' ek hai,

Salgirah jiski hai woh bhi toh hum mein se' ek hai,

Inhi ki badulat hum sab inn bebas halaaton mein khushiyon ke' kuch pal dhondte' hain.


Kal naa jaane' aap mein se' kisko kisko aisi shoharat naseeb ho?

Kis kis ki salgirah ho?

Zaroor unn palon ka hum sab abhi se' intezaar karte' hain.



Thursday, November 4, 2021

Naa jaane' kitne' diye' aaj jal rahe' hain....

Naa jaane' kitne' diye' aaj jal rahe' hain,
Patakon ki goonjon ne' iss sama mein raunaq ke' kai andaaz le' aaye'.

Kuch hi mahine' pehle',
Jaise sab maatam mein apna waqt guzaar rahe' the'.

Yakin zaroor hai ke' kai badnaseeb aaj ke' iss raunaq se' dooor honge',
Halaat hi unke' kuch aise' honge'.

Magar unn sabke' hosla afzahi karte' hue',
Unke' dard ko baante' hue',
Hum mein se' kuch iss jashn ko naya andaaz de' rahe' honge'.

Fariyad hai aaj uss Parvar Digaar se',
Ab hum sab ki zindagi ke' raaston ko har tarah ki roshni se' sajaa de'.

Parvar Digaar se' iss fariyad ke' baad,
Kyon naa hum sab aise' badnaseebon ke' liye' kuch naa kuch karein?

Iss jashn ko hum aaj yahin khatam naa hone' dein,
Magar aise' iraadon se' har waqt hum roshniyon ka yeh jashn unn sabke saath manaate' rahein.🙏🤨

Sunday, October 17, 2021

Suhani shaam dhal chuki hai..

Suhani shaam dhal chuki hai,

Fiza mein kuch masti ka alam hai.

Ab toh kuch jashanon (festivals) ka silsila chal chuka,
Unke' tayyarion ka josh phir aane' lagaa hai.

Kuch hi waqt pehle' hum sab kitne' mayoos the',
Jaise' kayamaton ka lambaa daur chal chuka hai.

Suna tha humne' bhi apne' buzurgon se',
Waqt hamesha ek jaisa nahi rehta hai.

Kal jo beet gaya woh shayad koi khaufnak khwab tha,
Aane' waala kal toh koi suhana safar zaroor hai.

Kyon naa ab joshile' armaan ke' sahare'.
Hum sab aise' ya waise' unn jashanon ka mazaa lein,
Isi mein toh hum sab ke' jeene' ka woh raaz hai.

Sunday, October 3, 2021

Intezaar main baithe' hain....

 Intezaar main baithe' hain,

Kisi haseen shaksh ke' aane' ki.

Kaun hai woh? Kahan hai woh?
Abhi toh kuch bhi khabar nahi.

Aahat sunai de' rahi hai magar,
Sirf zehen main hai haqiqat main nahi.

Ab kya fark padta hai? aur kya parvah hai?
Umeed toh hai kisi haseen shaksh ke' aane' ki, jaane ki toh nahi.

Monday, September 13, 2021

Barsaat ke' iss zabardast mahaul ne

Barsaat ke' iss zabardast mahaul ne',

Aaj mere dil mein kai armaan jagaa diye'.


Neend se' toh jaaga tha aaj savere',

Magar na rukne' waali iss baarish ne' phir mujhme' kuch beete' khwab yaad dila diye'.


Ek taraf gali gali mein jaise' nadi bann gayi ho,

Doosri taraf  mujhe' kuch shararti kisse' yaad aa gaye'.


Umar ab meri shayad woh nahi rahi magar phir bhi,

Ek baar phir uss daur ko jeene' ke' armaan jaag gaye'.


Baarish toh kabse' ruk gayi,

Magar aise' shararti armaanon ko kaise' roka jaaye'?  

Monday, August 23, 2021

Woh purani yaadein.....

Woh purani yaadein jo hum peeche chhor aaye' the',

Ab phir taaza hi gaye'.


Jinse' phir kabhi nilne ki umeed hi naa ki thi,

Woh sab iss jagah phir mil gaye'.


Woh khubsoorat ashiane' jahan hum sab mere bachpan beete' the',

Hum sab ke mizaaz mein phir khil gaye'.


Umar hoi gayi hum sab ki magar phir bhi,

Ek dooje ke' badaulat humare' zehen mein woh shararti bachche' phir jaag gaye'.


Monday, August 16, 2021

Jashn-e-azadi ke' iss mubarak mahaul mein

    Jashn-e-azadi ke' iss mubarak mahaul mein,

Kai toote' sapno ko phir sajaane' ki aarzoo rakhte' hain.


Kuch hi mahine' pehle' jaise' tabahi ka koi sehlaab aaya tha,
Hum uss sehlaab ke' zakhm abhi tak bhar rahe' hain.

Kai aziz kitne' be rehami se' humse' chheen liye' gaye'
Iss sadme' se' bahar aane' ki koshish abhi tak kar rahe' hain.

Iss Jashn e azaadi mein koi khaas jashn nahi,
Sirf khud ko sambhaal kar ab chalte' hi rehne' ki kasam khaate' hain.

Ab aage' iska anjaam kya hoga?
Kya hum apne' armaan poore' kar paayeinge'?
Iski fikar hum uss Parvar Digaar ke' hawaale' karte' hain.


Sunday, July 25, 2021

Thak gaya main bhi ab.....


Thak gaya main bhi ab inn mushkilon se' muqabala karte' karte',

Kabhi kabhi haar manne' ko jee chahta hai.


Ek-a-ek koi roshni kahin dooor se' mujhe' jaise' koi paigham deti hai,

Koi haseen manzil shayad mera intezaar kar rahi hai


Himmat phir karke' iss kadi dhoop mein chal padta hoon

Mera hosla afzahi jaise' koi chhupkar kar raha hai.


Suna tha kabhi ke' kaanton par chalkar milenge' saaye' bahar ke',

Ab toh inn kaanton se' jaise' mujhe' mohabbat ho gayi hai,


Bahar toh shayad mera intezaar kar raha hai.

Iss soch ne' mujhme' naa jaane' kaisa junoon jagaa diya,


Hoslon ko bujhne' hi naa diya,

Aur mera yakeen uss haseen manzil ko jaise' haasil karne' hi waala hai."

Sunday, June 27, 2021

Suddenly, I see a bright light of hope.....

Suddenly, I see a bright light of hope shining not far away,

Someone seems to be pushing me to get going.

Yes, dawn of a new era of hope and prosperity seems round the corner,
Exciting times ahead, so let's get going.

But I am still trying to come to terms with some terrible losses,
Some dear loved ones devoured so mercilessly by this wave,
And I don't have a choice but to get going.

Their fond memories will haunt me forever,
My soul will tremble trying to relive those traumatic moments when they departed,
But then, life is such that I need to get going.

I will seek solace in the thought,
That perhaps their souls are at eternal peace and cheering me from Heaven,
Yes, this will now finally give me the courage to get up and GET GOING.👍👍🙂

Saturday, June 19, 2021

Bahut ho chuka ab ......


Bahut ho chuka ab fikar aur chinta ka yeh daur,

Aaj inn sab se' dooor hokar kuch aur hi sama banaa raha hoon.

Dil aur dimag par kya kya sitam naa hue',
Yeh toh koi raaz nahi hai,
Aap sab ki tarah main bhi isi haal se' guzara hoon.

Ab toh woh kal jo hum sab ka intezaar kar raha hai,
Woh manzilein jo hum sab ko besabri se' pukar rahi hain,
Unke' ishaaron ko ab samajh raha hoon.

Yeh toh koi aisa daur tha jo hum sab ke' muqaddar mein naa jaane' kab likha tha,
Aana hi tha toh aa hi gaya,
Ab uss naye' daur ko apne' buland hoslon se' aane' ka intezaar kar raha hoon.

Woh humara kal jo aane' hi wala hai,
Woh daur jab hum sab koi ajooba kar dikhayeinge',
Aise' josh mein main aaj ka ek ek pal guzaar raha hoon.

Kya aap sab bhi aise' jazbaat mein aaj doobe' hue' hain?
Iska jawab main dil hi dil mein jaanta hoon👍👍✌️✌️😊😊

Saturday, June 5, 2021

Phir zindagi ki raftaar zor.....

      

      Phir zindagi ki raftaar zor pakad legi, 

      Rozi ki talaash mein kai yahan wahan bhatakne' lageinge'.


Manzilein shayad wahi honge',
Raaste' shayad ab badal jaayeinge'.

Kuch mahine' pehle' jo aarzoo the',
Shayad ab badal jayeinge'.

Aasman ki bulandiyon ko choo lene' ke' sapne' humne' bhi tab dekhe' the',
Ab woh khwaishein kahin kho jaayeinge'.

Jo aziz kisi aur duniya mein hamesha ke' liye' chale' gaye',
Woh yaad toh aate' raheinge'.

Humare' chehron par muskaan kyon naa ho,
Magar dil hi dil mein toh unki yaadon mein hum rote' raheinge'.

Zindagi toh ab tez pakad hi legi,
Fikar hai, kahin hum peeche' toh nahi reh jaayeinge'?

Wednesday, May 26, 2021

Kabristanon aur shamshanon mein woh bheer.....


Kabristanon aur shamshanon mein woh bheer(crowd) dekh kar naa jaane' kitne rooh kaanp uthe' honge?

Aur naa jaane' kab tak yeh bheer ka silsila chalta rahega?
Iss sawal se' naa jaane' kitne' dil tadap rahe' honge'?

Iss daur ne' toh har ek ko yeh ahsaas dila diya,
Ke shikve' gile' jaise' bekaar cheezon mein hum kyon apne' kimti pal barbaad karte hain?

Jo guzar gaye' unke' liye' toh hum ashk (tears) bahaate' hain,
Magar jo apne' beech hain unse' toh shikva gila karte' rehte' hain.

Hum sab agar iss seekh se' apni apni baaki ki zindagi guzaar lein,
Toh kuch naye' ahsaas zaroor mehsoos honge',
Aur kuch nahi toh khud mein hi hum sab naye' insaan paayeinge'.


Friday, May 14, 2021

Eid ke iss mubarak mauke' par...

    Eid ke iss mubarak mauke' par,

Thodi si khushi ka bahaana dhoondta hoon.

Jo jashn har ke' mizaaz mein kabhi hota tha,
Uski sirf ek nazar dhoondta hoon.

Eid ki mubarakbad toh humne' kai apnon ko di,
Magar unn sabke' chehre' par raunaq ki sirf ek lehar ko dhoondta hoon.

Haan, yeh daur hi kuch aisa aaya jab Holi bhi yoonhi beet gayi aur ab Eid,
Sabki tarah main bhi aaj khush rehne' ki koi wajah dhoondta hoon.

Parvar Digaar hum sab par zaroor meherban honge',
Phir se' har ek ke' mizaaz mein jashn jaise' mahaul honge',
Ab toh sab ki tarah main bhi uss daur ke' aane' ki wajah besabri se' dhoondta hoon.

Saturday, April 24, 2021

Iss waqt ke' khuafnaq daur mein....

    Iss waqt ke' khaufnaq daur mein,

Jeene' ki nai ada ab humne' seekh hi liya hai.

Jahan dekho, maddat ki dard bhari pukar goonj rahi hai.

Kisi ki saansein band ho rahi hain aur oxygen ki zaroorat hai,
Kisi ka bukhaar hi nahi tham raha aur hospital ki zaroorat hai,
Inn dard bhari pukaron ne' meri rooh ko bhi tadpa diya hai.

Jung hai aaj hum sab ke' saamne',
Anjaan insaanon ki zindagi bachaane' ke' liye'.

Har ek insaan ab isi jung ka saama kar raha hai,
Anginat aur anjaan logon ki zindagi bachane mein laga hai.

Woh jo kisi hospital mein oxygen par jee raha hai mera koi nahi,
Woh jo plasma ki talash kar raha hai mera koi nahi ,
Magar haan, woh sab meri aur aapki tarah ek insaan hain,
Mera dil unn sab ke liye' kitne' dard se dhadak raha hai.

Kal ya parson shayad sab theek ho jaaye',
Zindagi phir apne' hi raftaar mein aa jaaye',
Magar yeh khaufnak pal meri rooh mein hamesha bas jaayeinge',
Aur iss haqiqat se' ab saari umar mujhe' jeena hai.😢