This was composed after a distant relative of mine in his mid-thirties passed way after a brief illness, leaving behind his wife and a year old son:
Kyon mujhe itni jaldi bula liya ae khuda?
Abhi maine dekha hi kya hai?
Aana toh sabne hai tumhare paas ek din,
Magar mere liye woh din aaj hi kyon hai?
Mere khushiyon ki duniya toh abhi basne hi lagi thi,
Use' itni jaldi ujarne kyon diya?
Woh meri jeevan saathi, mera woh masoom bachcha,
Unki zindagi ab tabah kyon hai?
Main tumhare dar pe aa raha hoon,
Magar iski kya wajah hai?
Kyon meri khushiyan barbaad ki tumne?
Aakhir mera kusoor kya hai?