Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, December 24, 2018

Kisi jashn ka gazab sa mahaul hai

Kisi jashn ka gazab sa mahaul hai,
Kehte' hain yeh toh paigambar Isa Masih ki mubarak salgirah hai.

Yeh toh vaise' isaiyon ka khaas jalsa hai,
Jinke' paigambar Isa Masih hain.

Jahaan dekho iss jalse' ki zabardast raunaq hai,
Girja gharon mein hi nahi,
Saare' fiza mein jaise' iss jalse' ki khushboo hai.

Hum bhi shaamil ho gaye' hain isi jalse' mein,
Tayyari kar rahe' hain apne' nirale' andaaz mein.

Hindustan ke' iss khubsoorat gulistan mein,
Sab mazhabon ke' jalson ke' rang birnage phool khile' hain.

Inn tamam phoolon ki khubsoorti aur khushboo se' kaun bach sakta hai?
Hum bhi jahaan ke' iss ajoobe' gulistan ki kashish mein doobe' hue' hain.

Kisi oonche' shaksh ne' bhi kya khoob kaha tha:

"Saare' jahaan se' achcha,
Hindustan humara,
Hum bulbule' hain iske',
Yeh gulistan humara."    


Monday, December 10, 2018

Hum hain laajawab

Kya fikar karte' hue' zindagi beetaeinge',
Hum hain laajawab.

Waqt ke' badalte' hue' mausam se' kya ghabraeinge',
Hum hain laajawab.

Dekha hai kaiyon ko,
Waqt ke' saath saath badalte' hue',
Kabhi khushi se' aasmaan ko chhoote' hue',
Toh kabhi ghum ke' saagar mein doobe' hue.

Kudrat ka yahi toh raviyya hai,
Subah ke' baad shaam,
Toh garmi ke' baad barsaat ka aana zaroor hai.

Isi ravaiyye' ko khushi khushi kabool kar,
Humne' ab jeena seekha hai,
Ek ek pal ki kadar karna bhi seekha hai.

Shayad yahi iss josh ka woh raaz hai,
Jiske' zariye' aaj hum khud se' hi nahi,
Magar aap sab se' bhi yahi sunna chahte' hain ke':

"Hum hain laajawab" 

Monday, November 26, 2018

Keh do aaj jo bhi hai mann mein

Keh do aaj jo bhi hai mann mein,
Khyalon ko anjaam de' hi do apne' hi lafazon mein.

Yeh shaam kuch keh rahi hai hum dono se',
Naa rahe' kuch bhi bin kahe' sune' hum dono mein.

Naa jaane' kitne' pal yoonhi beet gaye' iss intezaar mein,
Kabhi toh aaega koi khubsoorat pal hum dono ke' zindagi mein.

Aaj saare' bandishein haar rahi hain,
Jahaan ki har rasm -o-rivaz humare' saamne' ab pheeki par rahi hain.

Hum dono ne' aaj yeh faisla kar hi liya hai,
Anjaam dekar hi raheinge' alagh rasm-o-rivaz ko,
Aane' waale' uss naye' daur mein.

Monday, November 12, 2018

Aadat se' majboor hoon

Aadat se' majboor hoon,
Aise' hi waqt guzaara karta hoon.

Subah shaam jo jung ladta rehta hoon,
Chehre' par naa jaane' kitne' naqab lagata rehta hoon.

Alagh alagh halaat aur shakshon ke' motabiq,
Khud ko badalta rehta hoon.

Koi toh mujhpe' meherbaan ho jaaye',
Koi toh mere' naqab ko pasand kar le',
Isi umeed ko lekar roz subah nikal padta hoon.

Asli chehre' ko chupane' ki ab aadat si ho gayi hai,
Kisi bhi naqab ke' bina bahar nikalne' se' ab ghabrata hoon.

Iss naqab ke' sahare' rozi roti  talashne' ki aadat si pad gayi hai,
Kya karoon?

Ab toh waqt ko bhi jaise' kai naqab dikhata rehta hoon,
Waqt mujhpe' ab hamesha meherbaan rahe',
Isi umeed mein apna asli chehra chupa kar,
Naa jaane' kitne' naqab badalta rehta hoon.    

Sunday, October 28, 2018

Aadat padh gayi hai mujhe'

Aadat padh gayi hai mujhe',
Khud ko abhi bhi jawan samajhne' ki,
Jo mujhe' kabhi bhi fateh naa kar sake',
Uss maamoli si taaqat ko bekar samajhne' ki.

Umar zaroor ho rahi hai,
Chehre' pe' raunaq par bhi asar padh raha hai,
Sar ke baal bhi ab jaa rahe' hain.

Aaine' ko jab bhi dekhta hoon,
Ek hi awaaz baar baar sunta hoon,
"Tumhari umar ho rahi hai",
Yehi baat hamesha sunta hoon.

Magar aaine' se' dooor reh kar,
Junoon rakhta hoon ab bhi,
Kaafi kuch haasil karne' ki,
"Abhi humne' kiya hi kya hai?"
Iss soch kl lekar chalte' rehne' ki.

Aaine' ko kyun itni ehmiyat doon?
Meri shakal ke' aage' isne' dekha hi kya hai?
Mere' andar jo joshila insaan hai,
Usko aaine' ne' abhi pehchaana hi kahan hai? 

Friday, October 19, 2018

Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki

Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki,
Woh toh ek alagh hi zamaana tha,
Masti ka gazab sa alam tha,
Aur fikar toh dooor ki baat thi.

Woh khel woh sharatein,
Woh baarish mein bheeng jaana,
Kuch kamaal ki baat hi.

Taleem par bhi zor tha,
Buzurgon ka, masteron ka,
Aur ghar mein apne' maa baap ka,
Lihaaz tha, aur darr bhi tha.

Khel hi khel mein naa jaane' kaise' saara bachpan beet gaya,
"Ab kuch bann ke' dikhana hai",
Naa jaane' yeh ahsaas kaise' ho gaya?

Iss ahsaas ne' woh khel bhula diya,
Baarish mein uss masti ko bhi bhula diya,
Aur khud mein kisi naye' shaksiyat se' mila diya.

Aaj isi shaksiyat ke' zariye',
Jahan mein apni koi pehchaan ban gayi,
Chaar logon ke' beech shamil hone' ki adaa aa gayi.

Magar phir bhi kabhi kabhi,
Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki,
Jab ek alagh hi zamaana tha,
Masti ka gazab ka alam tha,
Aur fikar toh dooor ki baat thi. 

Monday, October 15, 2018

Masti ke' iss alam mein

Masti ke' iss alam mein,
Kuch aisi waisi harkat karne' ki soojhi hai.

Ched chaad ke' iraade' mein,
Kuch mauj manane' ki soojhi hai.

Dekho naa, saara hafta yoon hi guzar jaata hai,
Aab o daana ki talaash mein
Insaan naa jaane' kahan kahan bhatak jaata hai.

Aaj ke' iss shaam ka yeh paigham hai,
Kuch pal sab bhool kar mast ho kar behak hi jao,
Yeh hum sab ka haq hai.

Agle' hafte' ki aaj kya soch karein?
Kya milega, kya khona padega?
Iski fikar aaj kyon karein?

Kehte' hain sirf mushakkat par insaan ka bas hai,
Natije' toh upar waale' ke' haath mein hai.

Isi rawaiye' ko lekar hum sab fikar ko dooor karein,
Aur khud ko behakne' dein iss shaam mein. 

Monday, September 24, 2018

Doobe' hue' hain hum jaam ke' nashe' mein

Doobe' hue' hain hum jaam ke' nashe' mein,
Saare' jahaan ke' shikvon se' dooor kisi suhane' khwab mein.

Aaj main thak gaya hoon mushakkat karte' karte',
Umeed karte' karte' kisi manzil ki,
Iss bedard jahaan mein.

Jaam ki bhi kya baat karein,
Do ghoont kaafi hain sukoon paane' ke' liye,
Aise' mushkil halaat mein,

Ab main shayad apne' hosh mein nahi hoon,
Kho gaya  hoon shayad jaam ke' aaghosh mein.

Magar naa jaane kaise' aa gaya hai ek naya josh,
Iss murjhae' hue' armaanon ke jism mein?

Jahaan ne' diye' hain jaane' kya kya thokrein,
Jo kha kar bhi bhookh hai kuch kar dikhane' ki iss dil mein.

Kal kya hoga kya pata ?
Kaun fikar kare' ab jaam ke' nashe' mein?

Abhi toh zamin aur asmaan dono ko fateh karne' ka junoon jaag gaya,
Jaam ke' sahare' iss dil o dimag mein.


  

Monday, September 17, 2018

Hawa ke' jhonkhon ki yeh chera cheri

Hawa ke' jhonkhon ki yeh chera cheri,
Unke chehre' pe giri zulfon ka yeh nazara.

Jaise' keh rahi ho kuch mujhse',
Kya samajh rahe' ho mausam ka yeh ishara?

Gustakhiyan ab mann ko uksa rahi hain,
Armaan bhi dil ko de' rahe' hain kuch aisa hi mashwara.

Yahan unke' chehre' pe' unki zulfon ka jaise' ashiana ban gaya,
Aur uss taraf asmaan mein chand par kaale' baadlon ka jaise' ashiana ban gaya.

Meri nazrein ab iss kashmakash mein uljhi hui hai,
Tareef unke' chehre' ki ya phir asmaan pe' uss nazare' ki zyada karoon?

Yeh sawaal ab mera diwanapan ban gaya.

Ek-a-ek hawa ke' jhonkhe' ne' unki zulfon ko unke' chehre' se' alagh kar diya,
Aur uss taraf asmaan mein baadlon ne' khud ko chand se' alagh diya.

Phir bhi main chand ki uss roshni ko bhool hi gaya,
Aur unke' chehre' ki noor mein naa jaane' kaise' kho gaya?   

Monday, September 10, 2018

Khat likhne' ki tamanna liye'

Khat likhne' ki tamanna liye' main kagaz aur kalam lekar baitha hoon,
Armanon ko khayal se' nikaal kar kagaz pe' utaarne' ki tamanna liye' baitha hoon.

Unka khayal bhi dil-o-dimaag mein aa raha hai,

Unn sab khayalon ko kuch alagh hi andaz dene' ki aarzoo liye' baitha hoon.

Haath mein kalam ko jaise' jakkar kar rakha hoon,

Kagaz par yeh kalam jaise' tez raftaar se' bhagne' ki koshish kar raha ho,
Aise' hi kisi nazare' ki tamanna liye' baitha hoon.

Khat likhna mere' liye' koi mamooli baat nahi,

Aaj mere' khayal betaabi se' behtareen lafazon ki talaash kar rahe' hain.

Kya unke' liye' yeh mera diwaanapan hai?

Ya beete' hue' unn palon ka karishma hai?
Isi kashmakash mein kuch uljha baitha hoon.

Ek-a-ek woh lafaz mere' khayalon mein aa hi gaye' hain,

Ab kalam bhi tez raftaar se' kagaz pe' bhaag raha hai.

Sochne' ka toh mauka hi nahi mil raha,

Aur dekhte' hi dekhte' woh kora kagaz mere' armaanon se' bhar hi jaata hai.

Yeh karishma kya aur kaise' ho gaya?

Ab isi ki soch mein baitha hoon.  

Tuesday, September 4, 2018

Kitna nadaan tha main

Kitna nadaan tha main,
Jo kuch logon ko shareef samajh baitha.

Kitna nadaan tha main,
Jo unki meethi meethi baaton mein aa gaya.

Iraade' unke' toh kuch aur hi the',
Kitna nadaan tha main jo unke' iraadon ko nek samajh baitha.

Bachpan mein humein taleem mein kai nek mashware' mile',
Magar unn nek mashwaron se' alagh kuch nahi seekha.

Dhokhe' pe' dhokha khaate' gaye',
Kyonke' dhokhebaazon ki asliyat pehchan hi nahi paaya.

Ek din yeh faisla kar hi daala,
Bachpan ke' unn mashwaron ko bhula hi daala,
Aur khud ko anaari se' ek shaandar khilari banaa hi daala.

Dhokha dena humne' kabhi seekha hi nahi tha,
Magar dhokhe' se' bachna bhi seekha nahi tha.

Ab toh khud mein iss khilari ne',
Dhokhebaazon ke' asli chehron par,
Nakli chehre' pehchanane lag hi gaya. 

Monday, August 27, 2018

Shaam ka waqt hai

Shaam ka waqt hai,
Jaam ke' pyale yaad aa rahe' hain.


Kuch kebab bhi agar mil jaayein toh mazaa aa jaye',
Aise' aarzoo mann mein aa rahe' hain.

Sanichar ki shaam hai,
Doston ka bhi saath hai,
Masti ka mahaul hai,
Aur jaam ke' pyale' nirale' andaaz mein takra rahe' hain.

Ab apne' apne' haal-e-dil ka,
Naa jaane' kya kya asar ho raha hai.

Baaki din toh khud ko kaboo mein rakhne' par majboor kar dete' hain,
Jaise' kisi parinde' ko quaid kar rahe' hain.

Apni apni zindagi ki bandishein,
Baaki din khud ko kaboo mein rakhne' par majboor kar deti hain.

Aaj hum saab unn bandishon ko bhool kar,
Jaam aur kebab ke' sahare',
Apne' apne' armaanon ko nirale' anjaam de' hi rahe' hain.

Jaam ka asar hone' laga hai,
Kebab ke' swad bhi apna kaam kar rahe' hain.

Zindagi ke' iss jung mein,
Hum bhi jaanbazon ke' mehfil mein shaamil ho kar hi raheinge',
Ab aise' junoon hum sab doston mein aa hi gaye' hain.


Sunday, August 19, 2018

Unki saalgirah ke' iss mubarak mauke' pe'

Unki saalgirah ke' iss mubarak mauke' pe',
Humne' unko mubarakvad pesh kiya.

Shayad voh soch rahe' the',
Ke' humne' unko kahin bhula toh nahi diya?

Humse' yeh mubaakvad paa kar,
Unmein shayad khushi ka jazba jaag gaya.

Chehre' pe' shayad halki si muskurahat aa gayi,
Aankhon mein shayad halki si nami aa gayi.

Hum inn khayalon mein doobe' hi hue' the',
Ke' achaanak humein apna khayal aa gaya.

Mann kaboo mein nahi tha,
Dil bhi idhar udhar bhaag raha tha.

Phir hum sambhal hi gaye',
Yeh toh mauka-e-saalgirah hi tha,
Aur iss khayal ko naa jaane' kya se' kya ho gaya?

Monday, August 13, 2018

Udhar idhar jaane' kidhar

Udhar idhar jaane' kidhar,
Main kisi uljhan mein padh gaya.

Jaa raha tha udhar,
Par idhar kisi ke' khayal mein kho gaya.

Khayal ko koi haadsa samajh,
Main yoonhi udhar chala gaya.

Ek-a-ek idhar se' jaise' koi pukar raha ho,
Udhar se' iss vehem mein jaise' kho gaya.

Waqt tha shaam ka,
Mahaul tha tanhai ka,
Magar udhar idhar ki soch mein jaane' kaise' dooob gaya?

Udhar se' jo idhar kisi ka khayal aaya tha,
Woh toh mera koi guzra hua alam tha,
Beeta hua koi haseen khwab tha.

Aur udhar main ise' haqiqat samajh raha tha,
Naa jaane' yeh kamaal mujhse' kyon aur kaise' ho gaya?

Monday, August 6, 2018

Aaj ki shaam hum bhi kuch maze' le' rahe' hain

Aaj ki shaam hum bhi kuch maze' le' rahe' hain,
Tip tip karti boondon mein kuch saaz aa rahe' hain.

Mausam toh hai saawan ka,
Usme' magar dhunon ki baarish dekh rahe' hain.

Ek-a-ek achanak cham cham karti boondon ki awaaz sunai deti hai,
Magar khayalon mein hi naa jaane' kitne' saaz jaag rahe' hain.

Tanhai ke' alam mein baithe' hain,
Mann hi mann mein khud ko kisi jalse' mein shaamil hote' dekh rahe' hain.

Woh toh mera khayal hi hai lekin,
Unn khayalon ko kabhi haqiqat ka anjaam dene' ki soch rahe' hain.    

Sunday, July 29, 2018

Mera mann kuch keh raha hai

Mera mann kuch keh raha hai,
Awaaz dil ki dharkanon tak pahunch rahi hain,
Aaj ki yeh barsaat kuch beimann si lag rahi hai,
Armaan ab kuch aise' jaag rahe' hain.

Mann keh raha hai sambhal jaa,
Kahin yeh kadam phisal naa jaayein,
Dil samajha raha hai yeh nadaani ka junoon hai,
Kahin hum badnaam naa ho jaayein.

Magar phir bhi naa jaane' kyon?
Yeh bheenga hua sama mere' dil-o-dimag se' kashmakash kar raha hai.

"Aaj apne' armaanon ko anjaam de' hi do,
Aaj khud ko buland kar hi do."

Nadaani ki aaghosh mein kai aise' waise' khayal aa rahe' hain,
Ek-a-ek woh samajh jaag rahi hai,
Muskura kar iss bheenge' mausam ko dobara samajh rahe' hain,
Yeh toh badalte' sama ka ek aur rukh hai,
Yahi samajh kar khud ko hum sambhaal rahe' hain.

Tuesday, July 17, 2018

Aapki iss jashn-e-salgirah ke' mubarak mauke' par

Composed the following on birthday of a dear colleague:


Aapki iss jashn-e-salgirah ke' mubarak mauke' par,
Aapko kya nazar karoon?

Lambi umar ki duayein ki toh jaise' barsaat ho gayi ho,
Ab aapki lambi umar ko kya dohraoon?

Aapki saadgi aur dilon par chaa jaane' wali andaaz ki tareef kar,
Kyon naa innko salaamat rehne' ki duayein dooon?

Khuda kare' aapka yeh mubarak din saalon saal aata rahe',
Magar kyon naa aapki sabke' dilon pe' raaj karne' ki ada ki salaamati bhi karoon?

Monday, July 16, 2018

Salaam hai aap sabke' iss salaamat alam ki

Salaam hai aap sabke' iss salaamat alam ki,
Muskurahaton ki yeh behtareen nazaron ki.

Mayoosi ke' alam mein baithe' baithe' oob gaye' the',
Naseeb ho hi gayi mujhe' aap sab ki mubarak nazaaron ki.

Zindagi ki iss din raat ki jung mein,
Kai milte' hain,
kai milke' juda bhi ho jaate' hain.

Magar unn sabse' alagh,
Naseeb hui mujhe' aapke' mehekte' hue' baharon ki.

Monday, July 9, 2018

Kuch hum keh rahe' hain

Kuch hum keh rahe' hain,
Kuch unka paigham aa raha hai.

Awaazein idhar udhar se' toh kai aa rahi hain,
Magar unka paigham dil se' dil mein aa raha hai.

Mahaul hai kisi jashn ka,
Jashn-e-mehfil mein hum bhi shareek hain,
Magar tanhai ka mazaa naa jaane' kyon hum dono ko aa raha hai.

Jee chahta hai kahin dooor chale'  jayein,
Jahaan ki rasam bhi ada kar rahe' hain,
Yeh toh kabhi naa khatm hone' waala usool hai.

Kya kamaal hai do dilon ke beech,
Buland awaazon ke' beech,
Anjaane' logon ke' beech.

Kisi se' apnepan ke' andaaz samajh rahe' hain,
Kya hoga ab hamara?
Yeh soch ab zehen mein aa raha hai.

Monday, June 25, 2018

Hum dono ki yeh ajab dastaan yoonhi ho gayi

Just remembered some fond moments during my college days, and composed the following in remembrance to those memorable days☺️☺️

Hum dono ki yeh ajab dastaan yoonhi ho gayi,
Soch rahe' the' pehele' woh ya pehele' hum?
Magar hamare' dilon mein woh jugalbandi yoonhi ho gayi.

Kabhi toh nazar se' hi guftagu karte' the',
Khud ko tasalli dete' the' ke' baat shayad ban gayi,
Magar phir bhi hamare' mann aur dilon mein,
Naa samajhi yoonhi ho gayi.

Himmat chahiye' thi agle' kadam ke' liye',
Dil ke' jazbaat honthon mein naa jaane' kaise' yoonhi aa gayi.

Hans rahe' the' hum donon,
Kab tak nazron se' yoonhi khelte' rehte?
Samajh iss baat ki ek- a -ek hum donon mein yoonhi aa gayi.

Aage' kaa haal toh khuda jaane',
Kya hoga hum donon ke' iss deewanepan ka?
Yeh fikar kaun kare?
iss haqiqat ki samajh hum donon mein yoonhi aa gayi.
👌👌

Monday, May 21, 2018

Koi aziz aaj intekaal farma gaya

Koi aziz aaj intekaal farma gaya,
Gaye' the' uske' janaaze' pe'.

Ghum mein doobe' kai log mile',
Ashkon ki jaise' barsaat ho rahi thi.

Magar kuch yeh bhi keh rahe' the',
Unhone' achi umar guzaar li,
Ab Khuda ne' unhe' saari taqleefon se' azaadi baksh di.

Mera bhi mann kuch mayoos tha,
Unhone' mujhe' naa jaane' kitni duayein bakshi thi.

Mila toh unse' kabhi kabhi tha,
Magar uss buzurg ne' har waqt meri khairiyat ki duayein ki thi.

Hum shayad yeh faisla kar hi nahi paayeinge',
Ke' humein aaj mayoosi ke' lamhe' naseeb hue',
Ya Khuda ke' iss faisle' ko khushi se' kabool karna chahiye'?

Haan yeh zindagi toh aane' jaane' ka doosra naam hai,
Iss haqiqat ko naa chahte' hue' bhi,
Khushi khushi kabool karna chahiye'.  

Monday, May 7, 2018

Raahon par saath chalte' chalte'

Raahon par saath chalte' chalte',
Kuch humsafar kitne' kareeb ho jaate' hain.

Lagta hai jaise',
Woh koi gair nahi apne' hi hain.

Zindagi ka yeh safar kitna mushkil kyon naa ho,
Kuch humsafar ke' badaulat,
Yeh raahein kisi gulistaan ki tarah lagne' lagte' hain.

Ek-a-ek kisi morh par,
Kisi ka saath yoonhi khatm ho jaata hai.

Manzilein apni apni alagh ho jaate' hain,
Majboorian aur halaat bhi apne' asar dikhaate' hain.

Woh raahein jo kabhi kisi gulistaan ki tarah lagte' the',
Ab kisi registaan ki tarah lagne' lagte' hain.

Suhaani shaam bhi kadi dhoop mein badal jaati hai,
Aur halki si thokar bhi,
Koi kayamat lagne' lagti hai.

Akele' chalte' rehne' ki aadat,
Ab seekh hi leni  chahiye',

Magar mil jaane' par,
Aise' sachche' humsafar ki kadar karte' rehni bhi chahiye'.

Kya pata aur kya khabar?
Kab uska saath khatm ho jaaye'?
Iski fikar toh kabhi karni hi nahi chahiye'.

Sunday, March 25, 2018

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai

Halaat ki aagosh mein har kisi ki zindagi guzar rahi hai,
Kuch toh khush hain,
Toh kisi kisi ko mayoosi mil rahi hai.

Jo aaj khush hain,
Woh kal zaroor mayoos the',
Aur aaj jo mayoos hain,
Kya pata kal woh kitne' khush the'?

Jahaan halaat ne' har kisi ki zindagi ko apna ghulam banaya hai,
Wahaan woh khud hi waqt ki ghulami kar raha hai.

Kehte' hain apni din aur raat ki mushakkat se' halaat badal jaate' hain,
Magar iss ghulam ko waqt ki manzoori bhi toh zaroori hai.

Waqt bhi kya kya karishme' dikhaata hai,
Fakiron ko ek a ek nawabi andaaz dila kar,
Kuch nawaabon ko fakir bhi banaa deta hai.

Waqt se' ab kashmakash kaun kare'?
Aage' apni zindagi mein kya hoga,
Iski fikar ab kaun kare'?

Waqt ke' karishmon ko salaam karte' hue',
Hum apne' halaat ko badalne ki aarzoo lekar,
Dooob gaye' hain din raat sirf mushakkat karte hue'.

Monday, March 19, 2018

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon

Beete' hue' palon ko yaad karta hoon,
Kuch ajeeb o gareeb se' khyalon ko jagaa deta hoon.

Woh haadse' kyon hue'?
Kya kasoor tha mera?

Aise' swaalon se' kashmakash karta hoon.

Suna tha humne' bhi,
Ke' taqdeer ke' aage' insaan majboor hai,
Kabool toh karna hi padta hai naa chahte' hue' bhi.

Magar woh haadse' meri hi taqdeer mein kyon the'?
Iss sawaal ka jawaab dhoondne' ki koshish karta hoon.

Buzurgon ka kehna hai,
"Zindagi toh chalte' rehne' naam hai,
Iraade' buland ho toh taqdeer bhi salaam karti hai".

Apne' iraadon ko buland kar,
Main uss salaami ka ab besabri se' intezaar kar raha hoon.

Soch rahe' honge' aap sab,
Kya iss waqt main mayoos hoon?

Magar jab iraadon ko itna buland kar diya toh phir mayoosi kaisi?
Haan iss taqdeer ke' karishmon se' hairaan zaroor hoon.

Wednesday, March 14, 2018

Tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi

This composition was inspired on the basis of some revelations by a dear friend:

Tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi,
Magar kisi aur ko kareeb laane' ki ab chaahat bhi nahi.

Nazron se' dooor hokar bhi mere' dil ke' ab tak kareeb ho,
Tumhe' apne' dil ke' kareeb rakhne' ka ab koi iraada toh nahi,
Magar kisi aur ko apni nazron ke' kareeb laane' ka iraada bhi nahi.

Naa jaane' yeh kaisa junoon hai?
Naa jaane' yeh kaisi kashmakash hai?

Chah ke' bhi tumse' ab nafrat nahi kar sakta,
Bhool ke bhi tumhe' ab bhoola nahi sakta.

Mere' dil-o-dimag mein ab tak tumhara hi zikr hai,
Yeh mujhe' ab kya ho gaya hai, iski fikr hai.

Mohabbat karke' ab tumse' shikva kaisa?
Din raat yaad karke' ab tumhe' bhulana kaisa?

Tum jo bhi ho meri hi ho,
Aur mere' siva kisi ki nahi ho.

Tumne' mujhse' bewafai ki toh kya,
Main tumhare' aur kareeb aa gaya.

Tumhara jism mujhse' dooor hai toh kya,
Tumhari woh yaadein ab tak mere' kareeb hain.  

Sach, tumse' dooor hokar mujhe' koi shikayat toh nahi,
Magar kisi aur ko kareeb laane' ki ab chaahat bhi nahi.

Tuesday, March 13, 2018

The weather was inviting

The weather was inviting,
It was Saturday evening,
And I wondered,
What should we be doing?

Suddenly, I recollected,
Someone had invited,
Us and others,
At their swanky apartment just renovated.

The visit was short but sweet,
I think I should tweet,
And let my twitter friends know,
What it was to be with them,
Who are a treasure indeed!  

Friday, March 9, 2018

Kuch din guzarte' hain bebasi mein,

Kuch din guzarte' hain bebasi mein,
Kuch raatein beet jaate' hain mayoosi mein.

Sochta hoon ke' naa jaane' kahaan jaa rahe' hain hum sab?
Lagta hai jaise' iss zindagi ki pareshaniyon se' har koi gaya hai dab.

Suna tha humne' bhi ke' kaanton pe' chal ke' milte' hain saaye' bahaar ke',
Magar ab toh saj gaye' hain mere zakhmi kadmon ke' nishaan,
Zindagi ke' raahon par kuch bahaar jaise'.

Kamaal hai, ab tak inn zakhmi kadmon ki raftaar thami nahi,
Woh dinon ki bebasi aur raaton ki mayoosi humare' hoslon se' badhkar toh nahi.

Magar sochta hoon, kab tak yeh din guzareinge' bebasi mein?
Aur kabtak yeh raatein beeteinge' mayoosi mein?   

Jo bhi ho, kuch baat toh hai humare' buland hoslon mein,
Nishan banaate' banaate' chalte' rehte' hain yeh zakhmi kadam,
Iss saare' jahaan ko hairan karne' ke' junoon mein.

Thursday, March 8, 2018

Zindagi ki inn anjaan raahon par

Zindagi ki inn anjaan raahon par,
Ab naa jaane' kahaan kahaan miloge'.

Hum samajhte' hain ke' yeh ab judaai hai,
Magar kya pata,
Yeh shayad kisi aur raah par milene' ki tayyari hai.

Aana jaana toh laga rehta hai,
Hum sab ke' liye',
Yahi iss zindagi ka usool hai,
Hum sab ke' liye'. 

Iss usool ko ab samajhkar,
Chalna padega humein,
Zindagi ki inn anjaan raahon par.

Monday, March 5, 2018

Bura naa maano aaj HOLI HAI !!!

Composed the following on the occasion of Holi few days back:

Suraj ki kiranon ne' aaj iss jahaan ko ek naya rang diya hai,
Hawa ke' jhonkon ne' bhi kuch naya mahaul banaya hai.

Pichkariyon ki woh barsaat ki mujhe ab besabri se' intezaar hai,
Kya karein, bhang aur gulal ka jo saath hai.

Magar aaj kuch cherr charr bhi toh zaroori hai,
Kyonke' bura naa maano aaj HOLI HAI
😁😛💢🏵️🌹

Thursday, March 1, 2018

Iss zindagi ki kya baat karoon main

Iss zindagi ki kya baat karoon main,
Yeh kuch ajeeb bhi hai, kuch nahi bhi.

Kai haadse' hue' iss zindagi mein,
Unn haadson ki kya baat karoon main?
Woh kuch haseen bhi the' kuch nahi bhi.

Naa jaane' itni khushiyan kyon mili mujhe'?
Inn khushiyon ki kya baat karoon main?
Inn khushiyon mein kuch ghum bhi tha kuch nahi bhi.

Kai manzilon ki talaash mein bhatakta raha,
Uss bhatakne' ki kya baat karoon main?
Kuch manzilein mili bhi kuch nahi bhi.

Ab ek khwaeish ki chah mein jee raha hoon mein,
Iss khwaeish ki bhi kya baat karoon main?
Yeh kuch mumkin bhi hai kuch nahi bhi.

Sach, iss zindagi ki kya baat karoon main,
Yeh kuch ajeeb bhi hai, kuch nahi bhi.  

Wednesday, February 28, 2018

Apnon ke' shehar mein

Apnon ke' shehar mein,
Apno ke' beech,
Ek ajnabi ki tarah hain hum.

Kisi apne' ki talaash mein,
Apno ke' beech,
Ek kashmakash mein hain hum.

Kya ajeeb dastaan hai yeh?
Har koi apna sa lagta hai.

Magar phir bhi,
Koi apnapan lagta nahi.

Shayad aaj ke' iss daur mein,
Zameen toh kya, 
Aasman mein bhi hukumat karne' ke' junoon mein,
Kuch apno ne' apnepan ki kurbani di hai.

Shayad isi liye',
Apnon ke' shehar mein,
Apno ke' beech,
Ek ajnabi ki tarah hain hum.

Tuesday, February 27, 2018

Hai yeh baat kuch aisi hi ke' hum khamosh hain

Hai yeh baat kuch aisi hi ke' hum khamosh hain,
Varna kya hamein baat karni nahi aati?

Aur hai yeh shaam kuch aisi hi,
Ke' bin piye' hi hum madhosh hain,
Varna kya humein jaam peeni nahi aati?

Monday, February 26, 2018

Humein shikayat thi apne' naseeb se'

Humein shikayat thi apne' naseeb se',
Ke' unhe' humse' juda kar diya.

Humne' paee thi zindagi ki haar khushi unmein,
Magar naa jaane' kyon,
Unhe' humse' juda kar diya.

Apne' iss naseeb ko koste' rahe' the' hum ab tak,
Jo humari khushiyan cheen le' gai thi.

Barson baad humne' unhe' phir dekha hai,
Kahin aur hi sahi,
Magar zindagi ki har khushi ke' saath.

Yeh saari khushiyan mere' taqdeer mein nahi the',
Magar ab maine' apne' iss naseeb ko sahi pehchana hai.

Mere naseeb ne' meri uss chahat ko,
Kahin aur hi sahi,
Magar kitna khush rakha hai.

Kya main khudgarz nahi,
Agar ab bhi apne' naseeb se' shikaayat karoon?  

Friday, February 23, 2018

Hazaar khwaishon ke' baad

Hazaar khwaishon ke' baad,
Humne' aapko paa liya,
Naa jaane' kitne' armaanon ke' baad,
Humein aapka saath mila.

Kabhi kabhi yeh sochta hoon,
Ke' inn tamaam khwaishon aur armaanon ki keemat kya hai?

Magar jab bhi aapko dekhta hoon,
Toh kuch aisa lagta hai.
Ke' meri hi toh kya,
Iss saare' jahaan ki khwaishein aur armaan bhi,
Aapke' inn nazar-e-inaayat ke saamne',
Hain kuch pheeke' pheeke' se'.

Wednesday, February 21, 2018

Humne' dekhe' hain iss zindagi ke ajeeb rang

Humne' dekhe' hain iss zindagi ke ajeeb rang,
Jahan apne' hain dooor aur ajnabi hain sungh (together).

Kehte' hain, ek chatt (roof) ke' neeche' aur ek biradiri mein,
Rehte' hain kuch ek doosre' ko jananae' waale',
Ek doosre' ko chahane' waale'.

Magar kahani ghar ghar ki dekh,
Humne' socha hai,
Akhir kahan gaye' woh ek doosre' ko janane' waale',
Aur ek doosre' ko chahane' waale'?

Hairat hoti hai yeh dehkar,
Ke' jo kabhi ajnabi the' ,
Woh ek doosre' ko samajhkar aur ek doosre' ko chahkar,
Ab ho gaye' apno se' bhi kuch badhkar.

Kaun kehta hai ke',
Ek chatt ya biradiri hi zaroori hai apnepan ke' liye'?

Aaj ke' iss daur ko toh dekhiye',
Kai jagah par dikhenge' zindagi ke' yeh ajeeb rang,
Jahan apne' hain dooor aur ajnabi hain sungh.
  

Tuesday, February 20, 2018

Chal pade' the' hum uss shaam ko

Chal pade' the' hum uss shaam ko,
Kisi khaas jashn mein shaamil hone' ko.

Mahaul tha uss saal ko alvida karne' ka,
Kuch mauj masti, kuch jaam, aur kuch khaas daawat ke maje' lene' ka.

Uss mehfil ki taraf jaate' waqt,
Sadak par uss shaam aur thand ke' waqt,
Humne kuch aur hi nazara dekha.

Ek phati purani kambal orre,
Humne ek bhookhe' pyaase' gareeb ko dekha.

Uski bebus aur lachaar nazrein,
Humse kuch keh rahi thi.

Uss thand aur bhookh pyaas se',
Mujhse' kuch rahat ki umeed kar rahi thi.

Magar dekhte' hue' bhi main uski inn umeedon ko dekh nahi saka,
Aakhir woh bhi meri tarah ek insaan hai,
Samanjhdaar hote' hue' bhi, main yeh samajh nahi saka.

Aur uss khaas jashn-e-andaaz mein khokar,
Main aage' hi aage' chalta gaya.

Naye' saal ke' pehle' teen peher tak,
Main jaam mein doobta chala gaya.

Kaan cheerne' waale' dhunon mein khota chala gaya,
Aur naa jaane' kitne' anjaan logon ko,
Iss naye' saal ki mubarakbad deta chala gaya.

Par naa jaane kyon har waqt mere' mann mein,
Ek kashmakash chalta gaya,
Kya yeh saara jaam, shor sharaba, aur dikhawa zaroori tha?

Din, mahine', aur saal toh yoonhi guzarte' chale' jaayeinge',
Kai bebus aur behasra log shayad sadak par hi,
Yoonhi dum torhte' chale' jaayeinge'.

Par kya hum apni yeh zindagi sirf apne' liye' hi,
Yoon jeekar ek din sabko lavida keh jaayeinge'? 

Kaash! Uss shaam mein uss gareeb ko,
Zindagi ke' kuch haseen pal de' deta.

Sukh ka woh saagar toh naa sahi magar,
Uss saagar ki kuch boondein uski dard bhari pyas ke liye' de' deta.

Aur iss tarah, iss naye saal ki shuruaat,
Uski bebus chehre' par ek muskurahat laakar kar deta.