Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, February 20, 2018

Chal pade' the' hum uss shaam ko

Chal pade' the' hum uss shaam ko,
Kisi khaas jashn mein shaamil hone' ko.

Mahaul tha uss saal ko alvida karne' ka,
Kuch mauj masti, kuch jaam, aur kuch khaas daawat ke maje' lene' ka.

Uss mehfil ki taraf jaate' waqt,
Sadak par uss shaam aur thand ke' waqt,
Humne kuch aur hi nazara dekha.

Ek phati purani kambal orre,
Humne ek bhookhe' pyaase' gareeb ko dekha.

Uski bebus aur lachaar nazrein,
Humse kuch keh rahi thi.

Uss thand aur bhookh pyaas se',
Mujhse' kuch rahat ki umeed kar rahi thi.

Magar dekhte' hue' bhi main uski inn umeedon ko dekh nahi saka,
Aakhir woh bhi meri tarah ek insaan hai,
Samanjhdaar hote' hue' bhi, main yeh samajh nahi saka.

Aur uss khaas jashn-e-andaaz mein khokar,
Main aage' hi aage' chalta gaya.

Naye' saal ke' pehle' teen peher tak,
Main jaam mein doobta chala gaya.

Kaan cheerne' waale' dhunon mein khota chala gaya,
Aur naa jaane' kitne' anjaan logon ko,
Iss naye' saal ki mubarakbad deta chala gaya.

Par naa jaane kyon har waqt mere' mann mein,
Ek kashmakash chalta gaya,
Kya yeh saara jaam, shor sharaba, aur dikhawa zaroori tha?

Din, mahine', aur saal toh yoonhi guzarte' chale' jaayeinge',
Kai bebus aur behasra log shayad sadak par hi,
Yoonhi dum torhte' chale' jaayeinge'.

Par kya hum apni yeh zindagi sirf apne' liye' hi,
Yoon jeekar ek din sabko lavida keh jaayeinge'? 

Kaash! Uss shaam mein uss gareeb ko,
Zindagi ke' kuch haseen pal de' deta.

Sukh ka woh saagar toh naa sahi magar,
Uss saagar ki kuch boondein uski dard bhari pyas ke liye' de' deta.

Aur iss tarah, iss naye saal ki shuruaat,
Uski bebus chehre' par ek muskurahat laakar kar deta.



No comments:

Post a Comment