Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, February 19, 2018

Main jeena chahata hoon

Composed the following while empathizing with a dear friend who was suffering from terminal illness:

Main jeena chahata hoon,
Abhi maine dekha hi kya hai?
Kyon yeh bimari meri zindagi se' yoon khafa hai?

Socha tha kabhi ke' zindagi mein kai manzilein haasil kareinge',
Apni hi nahi magar saare' kaum ki zindagi mein kai phool bhareinge'.

Magar kyon mere' muqaddar ko yeh manzoor nahi tha?
Aur kyon iss bimari ke' zariye' maut mujhe' pukaar rahi hai?

Apni kaum ke' iss baagiche' mein itne' dard bhare' kisse' dekhkar mera dil tadap uthta hai,
Mera zameer mujhko lakaarta hai:

"Ban jaa woh maali jo bhar de' iss baagiche' ko rang bhare' aur mehakte' phoolon se',
Iss tarah laut aaye' woh bahaar har ek ki zindagi mein,
Jo phansa huya hai naa jaane' kin kin mushkilon mein".

Shayad iss liye main abhi jeena chahata hoon,
Kyonke' abhi maine' dekha hi kya hai. 

No comments:

Post a Comment