Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, February 11, 2018

Dharam aur jaat par matbhed kya karein

Dharam aur jaat par matbhed kya karein,
Sabse' pehle' toh hum insaan hain.
Uss Bhagwan ya Khuda ko kaise yaad karein,
Sabse' pehle' toh hum sab unke' bande' hain.
Hum kisi mandir mein jayein ya kisi masjid mein,
Wahan par ibaadat karne' ki jazbaat toh pehle' hamare' dil mein hai.
Eid ki sewai ka ya Diwali ki mithai ka intezaar kaun kaun kare',
Uska paani toh hum sab ke' mooh mein hai.

No comments:

Post a Comment