Zindagi ke' iss haseen safar ka,
Ab ek aur saal beet gaya.
Naa jaane' kitne' yaadgaar lamhon ke' iss khazane' ko lekar,
Hamein chalte' hi rehna hai.
Aap sabne' humare' iss saalgirah par,
Humein beintaha muhabbat di,
Jiski kaamna humne' aaj tak nahi ki.
Zindagi ke' iss haseen safar ko ab kya naam doon?
Shayad itna, ke yeh kabhi sirf ek karvan tha,
Magar aap sab ki badaulat,
Ab ek haseen mehfil hai.
Umeed liye baitha hoon, shayad kal bhi,
Aapki yeh beintaha muhabbat mujhe naseeb ho.
Woh kal jo shayad sunsaan ho, anjaan ho, ya gumnaam ho.
Aur mera yeh wajood,
Shayad kuch bhi nahi ho.

No comments:
Post a Comment