Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, February 7, 2018

Aasman ki bulandiyon ko fateh karne' ki aarzoo liye' baitha tha

Aasman ki bulandiyon ko fateh karne' ki aarzoo liye' baitha tha,
Ek din kuch kamaal kar dikhane' ki junoon liye' baitha tha.

Woh din the' mere' talim ke',
School ke' aur college ke'.

Apni iss aarzoo ko izhaar karne' ki himmat ki maine',
Apne' apno ko apna samajh,
Unse' kuch dil -e-afzaahi ki maine'.

Woh din the' mere talim ke',
School ke' aur college ke'.

Kya bataoon aur ab kya sunaoon,
Ek mazaak bankar reh gaya tha main,
Apno ke' beech ek ajnabi bankar reh gaya tha main.

Kaun hai apna aur kaun paraya?
Yeh sochne' par majboor ho gaya tha main.

Hosla afzahi ki khuraak naa milne' par,
Mere iss aarzoo ne' ghut ghut kar dum torh hi diya.
Aur aasman ki taraf maine' dekhna bhi chorh diya.

Magar aaj barson baad, mujhme' ek naya junoon jaaga hai,
Aasman ki taraf dekhne' ka phir ek naya andaaz jaaga hai.

Ab yeh din talim ke' nahin hain,
School ke' nahin hain aur college ke' bhi nahin hain.

Apno ko ab kya karna?
Ab apne' andar hi maine' ek khubsoorat apne'  ko paaya hai.
Jisne' mujhe' aage' badhte' rehne' ka himmat dilaya hai.

Haan, ab phir aasman ki bulandiyon ko fateh karne' ki aarzoo liye' baitha hoon,
Aur ek din kuch kamaal kar hi dikhane' ki junoon liye' baitha hoon.

No comments:

Post a Comment