Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, April 12, 2017

Aap sab ki iss be-intaha mohabbat se

Composed and recited the following, at the Annual Day celebrations at my workplace in 2014. This was my expression of gratitude to all my colleagues, for all their love and respect which they had bestowed upon me:

Aap sab ki iss be-intaha mohabbat se,
Ab ghabraane laga hoon.

Aap sab ki iss be-intaha chaahat se,
Ab sharmaane laga hoon.

Sochta hoon, kabhi isi mohabbat aur chaahat ko,
Main tarasne naa lag jaaoon.

Ghabraata hoon, shaayad kisi pal aap sab,
Mujhe iske laayak hi naa samjhein.

Main toh kabhi aapki isi kadardangi ke,
Sirf ek katre ko tarasta tha,
Magar ab aapki badaulatl,
Mujhe aapki kadardangi ki yeh barsaat naseeb hui.

Sochta hoon, iss barsaat ke kuch katre, 
Apne kal ke liye bacha ke rakhoon.
Kya pata aur kya khabar?
Kal yeh barsaat mujhe naseeb ho naa ho.

Kyonki naa toh mai koi ajooba hoon,
Aur naa hi kudrat ka koi karishma hoon,
Bas, aap sab ki zindagi ki iss shandaar mehfil ka,
Ek mamooli saa hissa hoon.  



No comments:

Post a Comment