Zindagi se' aaj kuch tu tu main main ho gayi,
Main toh apni hi dhun mein chala jaa raha tha,
Ek a ek kahin koi takkar ho gayi.
Chot kuch jism mein lagi,
Kuch meri rooh bhi ghayal ho gayi.
Ek taraf baith kar main kuch sukoon paane' laga,
Kuch palon ke baad meri haalat theek ho gayi.
Zindagi ke' iss raah mein phir chal pada,
Magar mere' dil o dimag mein yeh baat baith gayi.
Kyon aise' haadse' hote' hain?
Aisi anhonee mere hi saath kyon ho gayi?
Aise' sawaal naa jaane' kitne' hain?
Jawaab magar kuch kuch hi hain,
Zindagi ki yeh sach soch kar mere' dil ko tassali ho hi gayi.

No comments:
Post a Comment