Kal humne' khushi ka ek naya andaaz
dekha,
Kisi aur ki khushi mein shaamil ho gaya,
Aur khud ko khush hota dekha.
Kisi aur ki khushi mein shaamil ho gaya,
Aur khud ko khush hota dekha.
Wajah kya thi?
Mahaul kya tha?
Kisko uski fikar thi?
Kya lena tha unn sab baaton se?
Mahaul kya tha?
Kisko uski fikar thi?
Kya lena tha unn sab baaton se?
Kisi ki khushi ko apna samajh,
Humne khud mein ek naye' insaan ko dekha.
Humne khud mein ek naye' insaan ko dekha.
Aaj ke' daur mein,
Kai khushi ko yahan wahan dhondte hain.
Kai khushi ko yahan wahan dhondte hain.
Kudrat ka koi karishma ho
jayee,
Iss fikar mein zindagi yoonhi guzaarte' hain.
Iss fikar mein zindagi yoonhi guzaarte' hain.
Kitni ajeeb baat hai,
Jo apno mein mil sakta hai,
Use' hum kudrat ke karishmon mein dhoondte hain?
Jo apno mein mil sakta hai,
Use' hum kudrat ke karishmon mein dhoondte hain?
s
No comments:
Post a Comment