Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, April 29, 2017

Roz jiska intezaar rehta hai hamein

I composed this when I was in college:

Roz jiska intezaar rehta hai hamein,
Woh aur koi nahi kisi ka khat hai.

Jiski yaad din raat satati hai hamein
Woh aur koi nahi meri mohabbat hai.

Unse zyada unke khat ne' hamein sataya
Yeh unse' shikaayat hai.

Apna haal e dil abhi tak nahi sunaya,
Yeh unse' shikaayat hai.

Apni nadangi pe' hamein hansi aati hai,
Unke khat se' shikaayat kaise' karoonga?
Anke bina ab jeena dushwaar hai,
Yeh unke khat se' kaise' kahoonga?

Samajh main nahi aata,
Jab unke' khat ko apni nazron mein basa loonga,
Toh phir unhein kin nigahon se' dekhoonga?
Jab woh mere kareeb aa jayegi,
Toh unse' kya kahoonga?

Sochta hoon, unke khat ko bhula kar,
Unki yaadein yaad rakhoon,
Aur tanhai mein yoonhi baithe' baithe'
Unki kuch pyaar bhari baatein yaad karoon.

Woh mere' nazron se' door hai,
Kayamat nahi,
Woh mere dil ke' kareeb hai,
Shaayad mohabbat yahi.

No comments:

Post a Comment