Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, April 4, 2017

Uski Muskaan Laut Aaye

A young distant relative of mine met with a cruel fate, which shook us badly. Her state prompted this composition from me. 


Kisi ki aah jab kabhi sunta hoon,
Mujhe bechaini hone' lagti hai.

Usspar taqdeer ne' bhi kya zulm kar diya,
Mujhe ab taqdeer se' shikaayat hone' lagi hai.

Woh toh ek masoom insaan hai,
Zindagi ki khushiyan abhi dekhi hi kahaan hai.

Magar phir bhi taqdeer ne' usspar itna zulm kar diya.
Uski muskaan achaanak cheen liya,
Mujhe ab uski woh muskaan lautaane' ki junoon hone' lagi hai.

Kisse' koi jung karunga?
Kisse' koi fariyad karunga?
Bas sirf uss masoom ki woh muskaan laut aaye',
Yehi dua ab kisse' karunga?

Main aasmaan ki taraf dekhta rehta hoon,
Uss khuda ki koi parchaiyi mehsoos karta rehta hoon,
Uss khuda se baar baar yehi fariyad karta rehta hoon.

"Taqdeer se' ab keh do,
Uss masoom ki jholi iss jahaan ki tamaam khushiyon se' bhar do."

Mere dil-o-dimag main yehi fariyad  baar baar goonjti rehti hai.

No comments:

Post a Comment