Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, April 10, 2017

Main fikar karta hoon

Main fikar karta hoon,
Woh fikar karte' hain,
Aur zindagi ke naa jaane kitne'pal,
Yoonhi guzaar lete' hain.

Kabhi kuch bechaini hoti hai,
Kabhi kuch  yoonhi khayal aata hai,
Magar pal do pal ke' baad,
Kuch yoonhi sukoon aata hai.

Muskurahat toh jaise' kahin kho gayi ho,
Zinda dili ki khoj jaise' koi mushakkat ban gayi ho,
Zindagi ke' anjaane' safar mein aise' mukaam jaise' aam ho gaye ho.

Muqaddar ko kaun poochta hai?
Taqdeer ki keemat kaun samajhta hai?
Jab har taraf fikar ho toh kisi ajoobe' ke' baare' kaun sochta hai?

Magar kitni ajeeb baat hai,
Fikar bhi ek bahaana hai,
Kisi ke' josh aur hoslon ko phir jagaane' ka,
Woh garma garam chai ka kaam karne' ka.

Magar phir bhi naa jaane' kyon,
Fikar ki fikar main bhi karta hoon,
Woh bhi karte' hain,
Aur iss jahaan ke' naa jaane' kitne log karte' hain. 

No comments:

Post a Comment